Ek tha Bhagwan..... Ek tha Shaitan.....

Ek tha Bhagwan..... Ek tha Shaitan.....

Dono me jab jhagda hua to bahut hua Nuksaan.

Dono ne milkar samasya ka nikala ek samadhan.

Ek khilona banaya aur uska naam rakha INSAAN.

Shaitan ne apni taaqatein di..... Krodh, Ghamand aur Jalan.

Bhagwan ne apne ansh diye..... Pyaar, Daya aur Sammaan,

Bhagwan se muskurakar bola fir shaitan.

Na tera Nuksaan..... Na mera Nuksaan.

Tu Jeetey ya Mein Jeetu,

HAAREGA INSAAN..

0 comments:

Post a Comment